Thursday, 22 May 2014

Hum dekhain ge hum dekhain ge

Hum Dekhain Ge Hum Dekhain ge
lazim he k hum bhi dekhain ge

Wo din k jis ka wada he
Jo Loh Azal me likha he

Jub zulm o sitam k koh gira
roi Ki tarha ur jaayn ge

Hum mahkumon k paay taly
Ye dharti dhar dhar dharky gi

Or ehly hukam k sar upar
jab bijli kar kar karky gi

Jab arze khuda k kaby se
Sab but uthway jayn ge

Hum ehle sfa mardo harm
Msnd py bithay jayn ge

Sub taaj uchaly jaay ge
Sub takhat giray jayn ge

Bas naam rhy ga Allah ka
Jo gyeb bhi he hazar bhi

Jo nazir bhi he manzar bhi
Uthy ka analhaq Ka nara

Jo me bhi hon tum bhi ho
Or raaj kary gi khalqe khuda

Jo main bhi hon or tum bhi ho
Jo main bhi hon or tum bhi ho

Faiz Ahmed Faiz

Labels: ,

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home