Wednesday, 21 May 2014

Ahmed faraz best urdu poetry

Ab k rut badli to khushbo ka safar dekhy ga kon
Zakham pholon ki tarha mehkain ge par dekhy ga kon

Dekhna sub raqas bismil me magan ho jayn ge
Jis tarf teer aay ga udhar dekhy ga kon

Zakham jitny bhi thy sab Mansub qatil se hoy
Tery hathon k nishan ae chara gar dekhy ga kon

Wo hawas ho ya wafa ho bat mehromi ki he
Log to phal phol dekhain ge shajar dekhy ga kon

Har koi apni hawa me me mast phirta he FARAZ
sher na pursaa main teri chasham tar dekhy ga kon

Mery Ban Jao

Labels: , , , , , , ,

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home