Friday, 11 April 2014

Poetry About Love

Poetry About Love

Wo sanson ki garmi wo tery badan ki khushbo
Abi tak janaa ye dill yaad karta he

Mery Ban Jao



Kitni Mehdood sei he Dunya
Ik main hon ik Muhabat


Mery Ban Jao


Har pall usy sochna har pall usy khojna
Kabhi usy paa lena kabhi usy kho dena

Me ajeeb meri muhabat us se ajeeb he
Usy yaad na karna phir ro dena


Mery Ban Jao


Hamain surat se kia matlab ham serat py marty hain
Usy khna k tumhara husn jab dhal jaay to lot aana


Mery Ban Jao

Le de k wohi shakhs he is sher me apna
Dunya kahi usko bhi samjhdaar na kar de


Mery Ban Jao


Mot Par Bhi He Yaqeen Un par Bhi Aetbar He
Dekhty hain pehly kon aata he Dono ka intazar he


Mery Ban Jao


Adhi raat ke shayed sapny jhoty thy
ya phir pehli bar sitary tooty thy

Jis din ghar se bhag kar sher me Pohnchi thi
Bhag bhri k bhag usi din photy thy

Mazhab ki bunyad par kia taqseem hoi
Hamsayon ne hamsay hi loty thy

Shokh nazar ki chutki ne nuksaan kia
Hathon se chay k bartan choty thy

Or k phirti thi jo naina sari raat
Us Resham ki shaal py yad k boty thy


Mery Ban Jao

Labels: , , , , , , , ,

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home