Farhat abbas shah
Tu ne dekha he kabhi ik nazar sham ke baad
Farhat abbas shah
Tu Ne Dekha he Kabhi Ik Nazar Sham K baad
Kitny Chup Chaap lagty hain shajar shaam k baad
Itny Chup chaap k rasty bhi rhain ge la Ilm
Chor Jayn ge Kisi Roz Nagar Sham K baad
Meny Aesy Hi gin Teri Judaai me Kiye
Jesy Tofaan me chor de ghar shaam k Baad
Sham se pehly wo mast apni Uraanon Me raha
Jis k hathon me the toty hoy par shaam ke baad
Raat Beeti To Gny Aably Or Phir Socha Kon Tha
Baes Aaghaz Safar Shaam Ke Baad
To he Surej Tujhy Malom Kha raat ka dukh
To kisi Roz Mery Ghar Me Utar Shaam Ke Baad
Lot Ay na kisi roz Wo Aawara Mizaajh
khol rakhty hain Isi Aas pe Dar Shaam Ke baad
Main Pochta hon Ke ye Karobar kis ka he
Farhat abbas shah
Main Pochta hon k ye karobaar kis ka he
Ye dill mera he magar ikhtiyar kis ka he
Ye Kis ki rah me bethy hoy ho farhat Ji
Ye mudaton se tumhain intazar kis ka he
Tarap Tarap k jab ye sard hony lagta he
To pochty hian dill be qarar kis ka he
Ye bat tey hi nahi ho sakti Aaj talak
Hamary dono me aakhir farar kis ka he
Na jany kis ne mery manzaron ko dhundlaya
Na jany Shaher pe chaya Ghubar Kis Ka He
Chand Khamosh tha
Farhat abbas shah
Ik kahani sabhi ne sunai magar chand khamosh tha
Uski aawaz ka muntazir tha nagar Chand khamosh tha
wo jo sehta rha rujgon ki saza chand ki chah main
mar gya jab to noha kna thy shajar chaand khamosh tha
Us se mill ke me yon khamosh or aawaz main qaid tha
ik sada to mery sath thi hum safar chand khamosh tha
Kal khain phir khuda ki zameen par koi saniha ho gya
Me ne kal rat jab bhi uthai nazar Chand Khamosh tha
Hamary Dill ki Qayl ho gyi thi
Farhat abbas shah
Hamary dill ki qayel ho gyi thi
Udasi kitni maayl ho gyi thi
laga jesy samandar aa pary hian
zara si baat haayl ho gyi thi
wo jab sanson me teri khushbo the
hawa us raat sayel ho gyi thi
qadam bujhny lagy thy ghngron se
zamee paaon me paayal ho gyei thi
Usy Dukh me zara dekha tha farhat
Hamari Roh Ghayal Ho gyi thi
Kabhi Safar To kabhi Sham Le Gya mujh se
Farhat abbas shah
Kabhi safar to kabhi Sham le gya mujh se
Tumhara dard kai kam le gya mujh se
mujhy khabar na hoi or zamana jaaty hoy
nazar bacha k tera naam le gya mujh se
Isy zayada zarorat thi ghar basany ki
wo aa ke mery dar wo baam le gya mujh se
Bas ik lamhy ke such jhoot k ooz farhat
Tamam Umar Ka Ilzaam Le Gya Mujh Se
Kar ke koi ik zara si baat sunhri
Farhat abbas shah
Kar k koi ik zara si baat sunhri
kr jaata he meri sari raat sunhri
pori hogi meri bhi ik din umeed
ho jayn ge mery bhi halat sunhri
Aesy aaty hain munawar saleebon par
Aesy hoti he tarikiyon me raat sunhri
Kabhi kabhi wo mujh se milny aata he
Mery bhi ho jaty hain oqaat sunhri
Kangan khanak khanak kar bajty jaty hain
hoti jati he sari baat sunhri
Pehnaata jata he zewar chahat ke
Dhery Dhery Kar Deta he maat sunhri
Labels: Farhat abbas shah
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home